donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Feroze Natique Khusro
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* BAZAHIR GHAR MEI'N ANDHIYAARA BAHUT HAI, *
BAZAHIR GHAR MEI'N ANDHIYAARA BAHUT HAI,
FALAK PER DOOR IK TAARA BAHUT HAI,
LAHU KHAULE TO CHINGAARI HAI KAAFI,
ZABAA'N BOLE TO ANGAARA BAHUT HAI,
MOQAIYAD HO JAHAA'N SHEESHE KE ANDER,
WAHAA'N IK BOOND BHI PAARA BAHUT HAI,
NAHI MAI'N CHAAHTA HAD SE GUZARNA,
KISI MEI'N ZABT KA YAARA BAHUT HAI,
KISI PAR SANG KYA HAM AAZMAYE'N,
YEH SAR APNA HAME'N PAYAARA BAHUT HAI,
KAHA JOGI NE JAB TAK SUR HAI'N MUJH MEI'N,
MERE HAATHO'N MEI'N IK TAARA BAHUT HAI,
KHODA SHAHID HAI HAR HAR GAAM HAMNE,
SAGE DUNIYA KO DHATKAARA BAHUT HAI,
BADAN KO KAAT TA JATA HAI PAL PAL,
RAWAA'N YEH WAQT KA AARA BAHUT HAI,
HAQIQAT JAAN NA CHAAHO TO HAM NE,
BAS APNE NAFS KO MAARA BAHUT HAI,
YEH KAH KAR RUKH HAI BADLA BOOYE GUL NE,
SUNA HAI TOO BHI AAWARA BAHUT HAI,
MAQAABIL AAYINA RAKKHA HAI "KHUSRO",
HAME'N APNA BHI NAZAARA BAHUT HAI.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 335