AKHUWWAT---Ba haaal-e Maula Abbas
Yeh bataya ke akhuwaat kya hai,
Bhai se Bhai keee ulfat kya hai
Badh sak-e sun ke jo naam-e Abbas.
Dushman-e deen kee himmat kya hai
Ek khat, woh bhee mahaz nazron se!
Uskee kuffaron mein dahshat kya hai
Bibi Zahra ne Dua-ein dee hain,
Mere Abbas kee azmat kya hai
Gham nahin lakh hon do lakh udoo
Hain jo Abbas to diqquat kya hai
Walwal-e jang ke chor-e toon-e
Aur bataya ke ita-at kya hai
Nusra-te Sha-h thaa tera nasbul-ain
Is-se badh kar koee nusrat kya hai.
Chor kar daman-e itrat khush hai
haa-i naadan tery Qismat kya hai
Achch-e logon kee sataish karna
shirke kya ismein aur bidaat kya hai
Uska imaan nahin imaan Sharib
Jo kah-e Ajr-e risaalat kya hai ?
****