kal ka wada na karo dil mera bekal na karo
kal paDegi na mujhe mujh se ye kal kal na karo
kahi.n jala de na use shola-e-ah-e-ashiq
palko.n ki TaTTi ke tayi.n aankho.n ki ojhal na karo
kar chuki tegh-e-nigah kaam to pal hi mei.n tamam
tir palko.n ka muqabil mere pal pal na karo
us ko har shab hai zawal us ko nahi.n hai kuchh naqs
badr ko chehre se us ke mutamassil na karo
dukh na pawe kahi.n wo nazni.n-gardan pyare
takiya zinhaar sar-e-baalish-e-maKHmal na karo
*****************