kaho bulbul ko le jawe chaman se aashiya.n apna
paDhe gar sad hazar afsun na hoga baghba.n apna
chali jab bagh se bulbul luTa kar KHanuma.n apna
na chhoDa hae bulbul ne chaman mei.n kuchh nisha.n apna
na tu ne gul kiya apna na bulbul baghba.n apna
chaman mei.n kis tarah siti banaya KHanuma.n apna
uTha kar le chali bulbul chaman se aashiya.n apna
kaha gul se ki le ye bewafa hum se maka.n apna
hui jab bagh se ruKHsat kaha ro ro ke ya qismat
likha tha yu.n ki fasl-e-gul mei.n chhoDe.n KHanuman apna
are sayyaad yu.n chahe to ji aur jaan se hazir
wa-lekin tauq-e-qamri ki tarah kar ke nisha.n apna
mera jalta hai ji is bulbul-e-bekas ki ghurbat par
ki gul ke aasre par yu.n luTaya ya.n KHanuma.n apna
alam kar is tarah roi ki ruswa ho gai bulbul
Dubaya hae aankho.n ne tamami KHanuman apna
magar dil se bana rakhna ali gauhar se pyare ko
wo shahi go ki rakhta hai wale hai mehrba.n apna
*****************