* zara asaan tum ye kam kar do *
zara asaan tum ye kam kar do
girakar zulf apni sham kar do
mera ye dil tumhara hi rahega
tum apna dil bhi mere nam kar do
lahu mera tumhen sairab kar de
barhao hath khali jaam kar do
tmhara kya hai moti taulte ho
mere ansu ko bhi neelam kar do
kahani ko zara rangeen kar k
ye lo shamshir qatle aam kar do
dam e akhir tumhara naam lungi
bhale rakhshan ko tum badnam kar do
****** |