mera ji go tujhe pyara nahi.n hai
par itna bhi to nakara nahi.n hai
hai.n aksar khuub-ru obash lekin
koi tujh sa to aawara nahi.n hai
jo dil le kar hue munkir tum is tarah
miya.n hum ne bhi kuchh haara nahi.n hai
hazaro.n aarzu dil mei.n girah hai
pe kahne ka hamei.n yara nahi.n hai
na marne dete hain 'qayem' ko lekin
khudawandi se kuchh chaara nahi.n hai
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸