kya mei.n kya aitibar mera
khwari bas iftikhar mera
naseh bole hai yu.n ki goya
dil par hai kuchh ikhtiyar mera
ai shah-sawar and-kai johd
zakhmi hai nipaT shikar mera
Tuk bachiyo saba ki har qadam par
us kuche mei.n hai ghubar mera
wo kashti-e-mai de ab ke saqi
jis mei.n khewa ho par mera
sad-bahr dar-astin hai jo abr
wo jeb hai ya kanar mera
'qayem' hun agarche hech lekin
kya kya kuchh hai aitibar mera
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸