le chuko dil jo nigah ko to ye dushwar nahi.n
lek tum dekhte phirte ho kharidar nahi.n
go ki musharif-ba-halakat hu.n mai.n is bar pe shokh
to ayaadat ko gar aawe to kuchh aazar nahi.n
tang to hum ko tu ai jaib kare hai lekin
uTh gaya hath gar apna to phir ek tar nahi.n
go subuk mujh ko zamane ne kiya hai lekin
ye bhi hai shukr kisi dil ka to mai.n bar nahi.n
majlis-e-mai se mushabah hai kharabaat-e-jaha.n
jaan kar ya.n jo na ho mast so hoshyar nahi.n
har bad o nek jaha.n apni jagah hai matlub
kaun sa uzw badan mei.n hai ki darkar nahi.n
mai ki tauba ko to muddat hui 'qayem' lekin
be-talab ab bhi jo mil jae to inkar nahi.n
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸