aap jo kuchh qarar karte hai.n
kahiye hum e'tibar karte hai.n
ye ki ya.n mai.n hu.n wae un ka haal
mujh pe jo iftikhaar karte hai.n
par farishte ke us jagah jal jae.n
jis taraf hum guzar karte hai.n
go kuha.n-dam hai.n hum ai sayyaad
lek anqa shikar karte hai.n
si to lene do jeb naseh ko
ab ki hum tar tar karte hai.n
dil ki dil jaane hum to apna kaam
ab ke khewe mei.n par karte hai.n
gir raha hai rawaq-e-wahm ghaafil
fikr-e-naqsh-o-nigar karte hai.n
sar gaya nama-bar ka wan ai wae
yan qadam hum shumar karte hai.n
dil-tahi kya kare hai tin pahlu
hum to aap hi kanar karte hai.n
chaliye qayem ki raftaga.n apna
der se intizar karte hai.n
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸