kabhu dikha ke kamar aur kabhu daha.n mujh ko
bahut ba-tang kiya tu ne ai miya.n mujh ko
wo din gae ki uThate the yar nikhat-e-gul
hai be-dimaghi-e-dil in dilo.n gira.n mujh ko
mai.n rah-guzar mei.n paDa hu.n ba-rang-e-naqsh-e-qadam
mai.n chhoDa kis ke bharose pe karwa.n mujh ko
mai.n hu.n to murgh-e-chaman par ghalat-nigahi se
hai.n kitne roz ki bhula hai aashiya.n mujh ko
to itne waste ai baghba.n na kawish kar
bahut hai saya-e-diwar-e-gulsita.n mujh ko
rawa rakhu.n na ki howe malak bhi pas mere
kiya hai bas-ki mohabbat ne bad-guman mujh ko
meri nazar mei.n hai 'qaem' ye kaenat tamam
nazar me.in go koi lata nahi.n hai yan mujh ko
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸