ju.n shama dam-e-subh mai.n ya.n se safari hu.n
Tuk muntazir-e-jumbish-e-baad-e-sahari hu.n
ne girya-e-shab hu.n mai.n na aah-e-sahari hu.n
ju.n bang-e-jaras ham-nafas-e-be-asari ho.n
jata hu.n mai.n jidhar ko wo mu.nh phere hai mujh se
goya ki mai.n gard-e-qadam-e-rah-guzri hu.n
dekha na mai.n juz-saya-e-bazu-e-shikasta
hirman-zada jun hasrat-e-be-baal-o-pari hu.n
mai.n pairahan apne mai.n samata nahi.n ju.n gul
jis waqt se aamada pae-jama-dari hu.n
sau khizr se kam-hausla wa.n ji se gae hai.n
jis dasht-e-khatarnak ka mai.n rah-guzri hu.n
jun sard rakha sang-e-jafa se mujhe aazad
marhun tera ji se mai.n ai be-samari hu.n
kya kam hu.n sikandar se agar dekhiye mujh ko
aaina-sifat malik-e-khushki-o-tari hu.n
kis bazm mei.n dekhi hai wo jhamki ki mai.n 'qayem'
ju.n shama sada mahw-e-paresha.n-nazari hu.n
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸