ju.n ibrat-e-kor jalwa-gar hu.n
albatta kuchh hu.n mai.n par kidhar hu.n
ju.n shisha bhara hu.n mai se lekin
masti se mai.n apni be-khabar hu.n
jo kahiye so ya.n se hai farautar
kya jaane mai.n kis maqam par hu.n
ai sabr tanik tu rah ki tujh se
do-chaar qadam mai.n peshtar hu.n
chal daman o aasti.n tujhe kya
lab-khushk huu.n ya mai.n chashm-tar hu.n
ai bakht-e-said teri daulat
ek yumn-e-qadam se hu.n jidhar hu.n
parwane ki shab ki sham hu.n mai.n
ya roz ki shama ki sahar hu.n
ji mange hai khush-dili ko 'qayem'
tu baiTh ke ro mai.n nauhagar hu.n
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸