jiya ba-kaam kab is bakht-e-arjumand se mai.n
phansa qafas mei.n jo chhuTa chaman ke band se mai.n
hai go ki jazb mera tar-e-ankabut se sust
ye sher phanse hai.n akasr isi kamand se mai.n
kabhu de bazm mei.n apni mujhe bhi rukhsat-e-soz
gaya asar mei.n meri jaan kya sipand se mai.n
jo talkhiye.n ki zakhira mai.n ki hai.n gham mei.n tere
na un se ek ko badlu.n hazar qand se mai.n
butan-e-dahr se 'qayem' kiya mai.n kis ko pasand
hun ab hamesha nadamat mei.n jis pasand se mai.n
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸