fabiha behtar bismillah
yak shab dekhi jin ne wo zulf
lakho.n dekhe roz-e-siyah
itni to mat ho jald nasim
hum bhi chaman tak hai.n ham-rah
dushman rahwe.n baada baghair
ta hai khirqa aur kulah
kaunde hai dil par barq si aaj
pesh-e-nazar hai kis ki nigah
wada kar ke raat ka tum
khuub hi aae wah ji wah
'qayem' se koi ho hai khafa
banda, khadim, daulat-khwah
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸