hum mue phirte hai.n aur khwahish-e-jaan hai us ko
ab talak bhi wahi jine ka guma.n hai us ko
ai dil afsurdagi-e-dagh se kyu.n hai tu maluul
jo gul is bagh mei.n aaya hai khiza.n hai us ko
qissa-e-barhana-pai ko mere ai majnu.n
khaar se puchh ki sab nok-e-zaba.n hai us ko
aage us gul ke na mara kabhu ghu.nche ne to dam
chahe bulbul so kahe tab-e-bayan hai us ko
ai falak bojh do aalam ka tu 'qayem' pe na Daal
apni hasti bhi kuchh in rozo.n gira.n hai us ko
kar ke hai hai ai nam-e-ashk tu rowe mujh ko
aaj agar sail mei.n khuu.n ke na Dubowe mujh ko
khaak ju.n aaina milna mujhe rakhta hai shugu.n
tirah-tar hu.n mai.n jo pani se to dhowe mujh ko
faeda gul ka na mujh se hai na sae ki umid
kah do dahqa.n se ki ba-huda na bowe mujh ko
garmi-e-nala se mai.n aaj jala jata hu.n
ko dam-e-sard ki aa kar wo samowe mujh ko
sath hai sang o sharar ka ye kaho us but se
kya ho aaghosh mei.n gar le ke wo sowe mujh ko
na mulaqat na ashfaq na wada na payam
kyu.nki taskin tere hijr mei.n howe mujh ko
khatam-e-dast-e-sulaiman se hu.n 'qayem' mei.n aziz
sakht pachhtae wo jo hath se khowe mujh ko
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸