hum hai.n jinho.n ne nam-e-chaman bu nahi.n kiya
aai saba jidhar se udhar ru nahi.n kiya
hum hai.n hawa-e-wasl mei.n us gul ki dar-ba-dar
jis ka saba ne tauf-e-sar-e-ku nahi.n kiya
wo khub-ru hai kaun sa jag mei.n farishta-wash
do roz mil ke hum jise bad-khuu nahi.n kiya
'qayem' ko is tarah se tu deta hai galiya.n
jis ko kisi ne aaj talak tu nahi.n kiya
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸