donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qayem Chandpuri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* har-chand dukh-dahi se zamane ko ishq hai *

har-chand dukh-dahi se zamane ko ishq hai

lekin mere bhi tab ke lane ko ishq hai

aashufta-sar hai.n ya.n dil-e-sad-chaak bhi kai

tanha na teri zulf se shane ko ishq hai

aflak baiThe jaen the jis bojh ke tale

aadam ke waise bar uThane ko ishq hai

wahshat ko apni shahr o bayaba.n mei.n ja nahi.n

aaqil ko ab dua o diwane ko ishq hai

ya-rab ban aai aadmi mar jae par na ho

wo ranj-e-bad-bala jo kahane ko ishq hai

dil ko chhuTa wahi.n se phansaya to zulf mei.n

ai ishq tere baat baDhane ko ishq hai

'qayem' hawas se go ki kahi sab ne ye ghazal

lekin tere radif biThane ko ishq hai

۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 152