donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qayem Chandpuri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* har ek surat mei.n tujh ko jaante hai.n *

har ek surat mei.n tujh ko jaante hai.n

hum is bahrup ko pahchante hai.n

hai qadir to Khuda lekin buta.n bhi

wo kar chukte hai.n jo kuchh Thante hai.n

tu naseh man ya mat man lekin

teri baate.n koi hum jaante hai.n

gae gauhar ke tajir jis taraf se

hum un rasto.n ki maTi chhante hai.n

na sambhla aasman se ishq ka bojh

hami.n hai.n jo ye magdar bhante hai.n

murid-e-khandan-e-ishq jo hai

hum apna pir use gardante hai.n

kali mare.n hai.n do rakat pe zahid

na DanD pele.n na magdar bhante hai.n

bahut jage hum us mahfil mei.n 'qayem'

koi dam ab to chadar tante hai.n

۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 164