donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qayem Chandpuri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* hai be-asar aisi hi jo apni kashish-e-dil *

hai be-asar aisi hi jo apni kashish-e-dil

ji le hi ke chhoDegi ye ek din khalish-e-dil

tha mu mujhe aamad mei,n koi us ki ki nagah

le jae na ghar se kahi,n bahar tapish-e-dil

zahrab o halahil se jo kuchh kaam na nikla

de kar ke mai,n ki khuun-e-jigar parwarish-e-dil

kis tarah koi guzre teri rah se ki pyare

har gam pe is kuche mei.n hai chapqalish-e-dil

kya naqsh ki khatir se hue mujh ko magar ek

har naqsh tera aaTh pahar muntaqish-e-dil

hatho.n se dil o dida ke aaya hun nipaT tang

aankho.n ko rou.n ya mai.n karu.n sarzanish-e-dil

dijo na ise us but-e-bebak ko 'qayem'

zinhaar ki nazuk hai nihayat tapish-e-dil

۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 157