go ya.n na kisi ko aae afsos
haalat to hai apni ja-e-afsos
dete to diya mei.n dil ko lekin
chaara nahi.n ab siwae-afsos
huu.n kushta mai.n wa.n ki jis jagah mei.n
koi na kisi pe khae afsos
ju.n shama agar na sar dhunu.n mei.n
kya kaam karu.n wara-e-afsos
chalte hue ahl-e-bazm ne ya.n
chhoDa hai mujhe barae-afsos
'qayem' wo amal ki baad tere
ek khalq kahe ki hae afsos
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸