go ba-nam ek zaba.n rakhti hai shama
kab tera sa baya.n rakhti hai shama
tere mukhDe ka sa namak maluum
ek phiki si aan rakhti hai shama
sarfaroshi ke mukhtara hum hai.n
go ab oonchi duka.n rakhti hai shama
dagh par dagh uThae dil ki tarah
kab ye tab-o-tawa.n rakhti hai shama
rowe go tuda tuda kab aise
dida-e-khuu.n-fisha.n rakhti hai shama
aah is dagh-e-dil se jis se ki dast
nit su-e-asma.n rakhti hai shama
kyunki parwana rashk se na jale
sab ke aage fula.n rakhti hai shama
khol mukhDa ki hai ye mujh ko yaqi.n
tujh se dawa guma.n rakhti hai shama
ye dil afsurda wae qismat-e-bad
soz ta-ustukhwa.n rakhti hai shama
raato.n jagi hai misl 'qayem' ki
tab ye soz-e-niha.n rakhti hai shama
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸