donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qayem Chandpuri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* gah piir-e-shaikh gaah mureed-e-mugha.n rahe *

gah piir-e-shaikh gaah mureed-e-mugha.n rahe

ab tak to aabroo se nibhi hai jaha.n rahe

duniya me.n ham rahe to kayi din pa is tarah

dushman ke ghar me.n jaise koi mehmaa.n rahe

ai diida dil ko rote ho kya tum hame.n to yaa.n

ye jhiikna pada hai kisi tarah jaa.n rahe

qismat to dekh baar bhi apna gira to vaa.n

jis dasht-e-pur-khatar me.n kaii kaarva.n rahe

sohbat ki garmi ham se koi siikhe misl-e-shama

saare hue safed pa tad bhi javaa.n rahe

masjid se gar tuu shaikh nikaala hame.n to kya

'qayem' vo mai-farosh ki apne dukaa.n rahe

'qayem' isi zamii.n ko tuu phir kah par is tarah

sun kar jise ki charkh me.n nit aasma.n rahe

۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸

 

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 320