ek jagah pe nahi.n hai mujhe aaram kahi.n
hai ajab haal mera subh kahi.n sham kahi.n
chashm ne jo yamani lakht jigar ke kho de
un nagin ka to nahi.n sunte hum ab naam kahi.n
apni qismat mei.n mai-e-saf to saqi malum
kash phe.nke tu idhar durd-e-tah-e-jam kahi.n
ai falak tarah se makDi ki tuu jalo.n ko na pur
wo jo shahbaz hai.n aate hai.n tah-e-dam kahi.n
us kamar se nigah-e-shauq lipaTti to hai lek
ji ye dhaDke hai ki aa jae na ilzam kahi.n
tum ne ki dil ki talab hum bhi kahawenge wa-lek
yu.n ye farmaishe.n hoti hai.n sar-anjam kahi.n
pa-e-diwar se phir meri tarah wo na uTha
jin ne dekha tujhe yakbar sar-e-baam kahi.n
uzr-e-taqsir bhi chahunga mai.n us se ai dil
Tuk tu khamosh ho dene se wo dushnam kahi.n
azm kaba ka tu 'qayem' to kiya hai lekin
rahn-e-mai kijo na wa.n jama-e-ehram kahi.n
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸