dil pa ke us ki zulf mei.n aaram rah gaya
darwesh jis jagah ki hui sham rah gaya
jhagDe mei.n hum mabaadi ke yan tak phanse ki aah
maqsud tha jo apne tain kaam rah gaya
na-poKHtagi ka apni sabab us samar se poochh
jaldi se baghba.n ki wo jo khaam rah gaya
sayyaad tu to jata hai par us ki bhi kuchh khabar
jo murgh-e-na-tawa.n ki tah-e-dam rah gaya
qismat to dekh TuTi hai ja kar kaha.n kamand
kuchh duur apne hath se jab baam rah gaya
mare.n hai.n hum nagin-e-sulaiman ko pusht-e-dast
jab miT gaya nishan to go naam rah gaya
ne tujh pe wo bahaar rahi aur na ya.n wo dil
kahne ko nek-o-bad ke ek ilzam rah gaya
mauquf kuchh kamal pe ya.n kaam-e-dil nahi.n
mujh ko hi dekh lena ki nakaam rah gaya
'qayem' gae sab us ki zaba.n se jo the rafiq
ek be-haya mai.n khane ko dushnam rah gaya
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸