be-shaghl na zindagi basar kar
gar ashk nahi.n to aah sar kar
de tul-e-amal na waqt-e-piri
hui subh fasana mukhtasar kar
kuchh turfa maraz hai zindagi bhi
is se jo koi chhuTa so mar kar
kaba ke safar mei.n kya hai zahid
ban jae to aap se safar kar
kya dekhe hai aaine ko pyare
idhar bhi to ek dam nazar kar
wo bais-e-zist shayad aa jae
ai jaan tu jaiyo Thahar kar
fursat hai ghanimat aaj ghafil
jo ho sake nafa ya zarar kar
ye dahr hai kargah-e-mina
jo pa.nw rakkhe tu yan so Dar kar
tamir pe ghar ki mar na ai dil
'qayem' ki tarah dilo.n mei.n ghar kar
********************