donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qalandar Bakhsh Jurat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* ye qisso.n mei.n jo dukh uThane bandhe hai.n *

ye qisso.n mei.n jo dukh uThane bandhe hai.n
so ulfat hi ke sab fasane bandhe hai.n
qafas mei.n suno lo asiran-e-kohna
ba-har-shakh-e-nau aashiyane bandhe hai.n
khuda jaane is ghar mei.n kya hai ki jis ke
kai dar ke aage diwane bandhe hai.n
wo aansu hai.n apne ki sab ki girah mei.n
kai motiyo.n ke khazane bandhe hai.n
hawa ye dayar-e-mohabbat ki bigDi
ki sab rahne walo.n ke shane bandhe hai.n
mulaqat kya ho rahe Thaur bas hum
ki jaane ke wa.n to Thikane bandhe hai.n
lage.n kyu.n na tir-e-nigah dil jigar par
ki us chashm ke ye nishane bandhe hai.n
falak tere hatho.n baDe the jo dana
so ab un ke pallo.n mei.n dane bandhe hai.n
ghazab sada-ruo.n ki hai sadgi bhi
ki phenTe ajab sufiyane bandhe hai.n
hui ghar mei.n shadi tumhaare to aisi
ki jis ke jaha.n mei.n fasane bandhe hai.n
na bulwane ka hum ko shikwa hai dekho
bandhan-war ab tak purane bandhe hai.n
bakhiil ab ye munim nahi.n kyu.nki 'jurat'
kase jin ke khwano.n mei.n khane bandhe hai.n

****************

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 308