donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qalandar Bakhsh Jurat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* ya.n hum ko jis ne mara malum ho rahega *

ya.n hum ko jis ne mara malum ho rahega
mahshar mei.n khuu.n hamara malum ho rahega
go phuul phuul kar ab to dekhti hai bulbul
gulshan ka par nazara malum ho rahega
jab bahr-e-gham mei.n Duba de chhoD dast-o-pa ko
aakhir tujhe kinara maloom ho rahega
ai sabr dam-ba-dam ab dard-o-alam fuzu.n hai
jitna hai dil ka yara malum ho rahega
ai aaftab-e-mahshar kholu.n hu.n dagh dil ka
chamka agar ye tara malum ho rahega
sad-sher aashiqo.n ka hone laga wafur ab
sab hausla tumhaara malum ho rahega
naqsh-e-qadam se aakhir teri gali mei.n pyare
jis ka hua guzara malum ho rahega
afsos raaz dil ka jasus sun gae hai.n
qissa ab us ko sara malum ho rahega
poshida go hai tujh par ahwal mere dil ka
hai ye to aashkara malum ho rahega
na-chaar ku-ba-ku ab tahqiq karne phiriye
kuchh dard-e-dil ka chaara malum ho rahega
pinha.n hai ab to lekin marne ke baad 'jurat'
dard-e-daru.n hamara malum ho rahega

*****************
 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 446