donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qalandar Bakhsh Jurat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* yaad kar wo husn-e-sabz aur ankhDiya.n matwaliya.n *

yaad kar wo husn-e-sabz aur ankhDiya.n matwaliya.n
kaTte hai.n ro hi ro sawan ki raate.n kaliya.n
shab tasawwur bandh kar us jumbish-e-mizhga.n ka wah
khud-bakhud kis kis maze se hum ne chhaDiya.n kha liya.n
dekhe.n kya un ki lachak us saad-e-nazuk baghair
khinchti hai.n kyu.n hamei.n kanTo.n mei.n gul ki Daliya.n
kuchh na kuchh kar baiThta hu.n baat us ke bar-khilaf
ta kisi surat wo de jhunjhla ke mujh ko galiya.n
mah asir-e-haala us ka dekh baala kyu.n na ho
khanda-zan ho.n mahr par jis ki jaDaw-baaliya.n
shab ko jo us ka tasawwur bandh gaya to hum ne bas
us ke mukhDe ki balae.n subh tak kya kya liya.n
waqt-e-izhaar-e-wafa mahfil mei.n us ki jis se aankh
mil gai to bas wo sab baate.n usi par Dhaaliya.n
barg-e-gul un ko kahu.n ya para-e-yaqut wah
dekhiyo bin paan khae un labo.n ki laliya.n
kucha-e-qatil ko gar musalakh kahu.n to hai baja
jab na tab dekho to bahti hai.n lahu ki naliya.n
khuun-e-dil aankho.n mei.n bhar aata hai jab aati hai yaad
wo mai-e-gul-rang ki bhar bhar ke deni pyaliya.n
tak-jhank us ki kahu.n kya mai.n ki tifli mei.n bhi thi.n
us ke hatho.n ghar ki diwaro.n mei.n har su jaliya.n
kash 'jurat' wasl ka din howe jaldi se nasib
hijr ki to khae jati hai.n ye raate.n kaliya.n

******************


 

 

 
Comments


Login

  • Muhammad Anas
    30-11-2016 13:50:14
    Bohat hi khoobsoorat...!
    http://www.alifseye.com/poetries
You are Visitor Number : 396