donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qalandar Bakhsh Jurat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* wasl banne ka kuchh banaw nahi.n *

wasl banne ka kuchh banaw nahi.n
wa.n laga dil jaha.n lagaw nahi.n
pa.nw kyu.n daabne nahi.n dete
gar kisi ka tumhei.n dabaw nahi.n
zakhm-e-dil ka ilaj kya kije
qabil-e-marham apna ghaw nahi.n
aise dariya mei.n bah chale hai.n ki aah
jis mei.n Tapu nahi.n hai naw nahi.n
hai bahut jalwa-gah-e-yar buland
dekhe.n kya ya.n se kuchh dikhaw nahi.n
bal be teri sajawaTen allah
kuchh qayamat hai ye banaw nahi.n
dastaras wa.n zara nahi.n aur hae
dil mei.n kya kya hamare chaw nahi.n
le ke dil yu.n kahe hai chitwan mei.n
ab meri bazm mei.n tum aao nahi.n
dard-e-pinha.n se ji hi nikle hai
kya kahe.n tum se kuchh chhupaw nahi.n
gar safar ko sidhaare ho to aao
ja ke wa.n chhawni tu chhaw nahi.n
kyu.nki 'jurat' lagae.n hum lagga
ki farishte ka wa.n lagaw nahi.n
aur to aur chori chori se
baat kar lene ka bhi daw nahi.n

********************

 

 
Comments


Login

  • Muhammad Anas
    30-11-2016 13:48:28
    This is incredible stuff.
    http://www.alifseye.com/poetries
You are Visitor Number : 401