husn ai jaan nahi.n rahne ka
phir ye ehsan nahi.n rahne ka
nazr ki jeb to ai josh-e-junu.n
ab ye daman nahi.n rahne ka
parda mat mu.nh se uThana yakbar
mujh mei.n ausa.n nahi.n rahne ka
tu chala aur ye ji is tan mei.n
kisi unwan nahi.n rahne ka
gul ko kya roti hai tu ai bulbul
ye gulista.n nahi.n rahne ka
dam ka mehman hu.n mai.n ab bhi tu
aa ke mehman nahi.n rahne ka
nabDi mai aur gulista.n mei.n gul
tere qurban nahi.n rahne ka
ab bhi aana hai to aa warna miya.n
ye bhi saman nahi.n rahne ka
dil ki darkhwast jo ki tu ne to ya.n
ab ye ek aan nahi.n rahne ka
aise mei.n apni amanat le ja
phir tujhe dhyan nahi.n rahne ka
hijr ke gham se na ghabra 'jurat'
itna haira.n nahi.n rahne ka
*****************