guzar is hujra-e-gardu.n se ho kidhar apna
qaid-khana hai ajab gumbad-e-be-dar apna
shakl rahne ki hai basti mei.n ye us bin apni
jaise jangal mei.n banata hai koi ghar apna
shab ki be-tabiya.n kya kahiye ki dekha jo sahar
TukDe TukDe nazar aaya hamei.n bistar apna
ham-nashi.n us ko jo lana hai to la jald ki hum
thame baiThe rahe.n kab tak dil-e-muztar apna
wo gae din ki sada mai-kada-e-hasti mei.n
baada-e-aish se labrez tha saghar apna
tab-e-nazzara teri lae na khurshid zara
hath jab tak ki na rakh le wo jabi.n par apna
de.nge sar ishq ke saude mei.n agarche hum ko
is mei.n nuqsan nazar aata hai sarasar apna
hai zami.n khuub ghazal-dar-ghazal is ko kahiye
bas ki mamul hai 'jurat' yahi akasr apna
****************