dud-e-atish ki tarah ya.n se na Tal jau.nga
shama-san mahfil-e-jaana.n hi mei.n jal jau.nga
dur se bhi use dekhu.n to ye chitwan mei.n kahe
aa ke dide abhi talwo.n tale mal jau.nga
dil-e-muztar ye kahe hai wahi.n le chal warna
toD chhati ke kiwaDo.n ko nikal jau.nga
main hun khurshid-e-sar-e-koh yaqi.n hai ki wo mah
aaega baam pe tab jab ki mai.n Dhal jau.nga
aaj bhi koi na le jaega wa.n mujh ko to bas
kal nahi.n hai mujhe mai.n ji hi se kal jau.nga
wa.n se uThta hun to kahta hai ye pa-e-raftar
jab zami.n par tu rakhega mai.n phisal jau.nga
ba-khuda husn-e-buta.n ka yahi sab se hai kalam
wo chhalawa hu.n ki tum sab ko mai.n chhal jau.nga
aa ke barso.n mei.n wo mujh pas ye shab kahne lage
ya.n Thaharne mei.n bahut se hai.n khalal jau.nga
tegha qatil ka kahe hai ki duwali bandu
muTh ki tarah se tum sab pe mai.n chal jau.nga
go mizaj is ka ye badla ki kahe hai mujhe yu.n
dekho tum aae to mai.n ghar se nikal jau.nga
par raha jaega kab hai meri haalat taghir
yu.n na jau.nga to mai.n bhes badal jau.nga
'jurat' ashaar-e-junu.n-khez kah ab aur ki mai.n
le ke ye turbat-e-sauda pe ghazal jau.nga
******************