|
* Sundar komal sapano'n ki baarat guzar gai jana'n, *
Sundar komal sapano'n ki baarat guzar gai jana'n,
Dhup ankho'n tak a pahunchi hai raat guzar gai jana'n,
Bhor samay tak jis ne hamay baham ulajhaye rakha,
Wo albeli resham jaisi bat guzar gai jana'n,
Sada ki dekhi raat hamay is bar mili to chup ke se,
Khali hath pe rakh ke kya saughat guzar gai jana'n,
Kis konpal ki aas may ab tak waise hi sar sabz ho tum ,
Ab to dhup ka mausam hai barsat guzar gai jana'n,
Log na jane kin rato'n ki murade'n manga karte hai'n,
Apni raat to wo jo tere sath guzar gai jana'n. |
|