|
* Zabaan sakhun ko, sakhun baankpan ko tarsega, *
Zabaan sakhun ko, sakhun baankpan ko tarsega,
Sakhun kadah mEn tarz-e-sakhun ko tarsega.
Naye payaale sahi tere daur mein, saqi,
Yeh daur men sharab-e-kuhan ko tarsega.
Mujhe tau khair watan chhor kar amaan na miii,
Watan bhi mujh se ghanib-ul-watan ko tarsega.
Inhi ke dam se firozaan ham millaton ke chiragh,
Zamana suhbat-e-arbab-e-fan ko tarsega.
Badal sako tau badal do yeh baghbaan, warna,
Yeh baagh saaya-e-sarv-o-saman ko tarsega.
Hawa-e-zulm yehi hal tau dekhna 1k din,
Zamin paani ko, suraj kiran ko tarsega.
|
|