Hasrate-n yun tou bohot thei-n teri hasrat ke siwa
Humne maanga nahi-n kuch bhi teri chahat ke siwa
Aur kuch roz samajh lo abhi zakhmo-n ka mizaaj
Haath phir kuch nahi-n aayega nadamat ke siwa
Reh gaya phir wohi daaman mera khaali khaali
Mil gaya sab mujhe ik uski mohoabbat ke siwa
Zindgi yun hi guzar jaati hai chalte chalte
Kuch nahi-n karte kayi log shikayat ke siwa
Uspe ilzaam lagaate rahe hum bhi ANJUM
Kaum tha saath hamare bhala qismat ke siwa
*********************