Nazar ko aur bhi gehra karenge
Samandar ki tarha-n socha karenge
Manana usko aata hi nahi-n hai
Ab apnea apse rootha karenge
Kabhi socha nahi-n tha isse pehle
Juda tujhse hue tou kya karenge
Wo lamho-n ko saja kar rakh raha hai
Chalo chhu kar inhei-n zinda karenge
Wo maani jaanta hai zindgi ke
Kaha-n tak usko andekha karenge
Ye waada kar liya hai raushni se
Andhere mei-n nahin baitha karenge