Dar-e-shauq waa hua kya!
Koi raasta khula kya!
Badi door hoo-n main khud se
Koi de mujhe sada kya!
Usey gham se main nikaloo-n
Wo bataye tou hua kya!
Mere dil ki baat chhorro
Usey koi mil gaya kya!
Wo nazar badal chukka tha
Meri samt dekhta kya
Jaha-n har koi ho mujrim
Waha-n jurm kya saza kya
Thi meri udan oonchi
Hua khatm raasta kya
Hai bada sukoon ro kar
Hua dard hi dawa kya!a