donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Musarrat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Mera chehra mere jaisa rehne de *

Mera chehra mere jaisa rehne de

Is dunya mein koi shanaasa rehne de

 

Tere bin kuch aisi hi bezaari hai

Jaise maar ke koi zinda rehne de

 

Wo lamha tou kab ka peeche chhoot gaya

Ab jo mere paas hai mera rehne de

 

Apne aansu aise mat chalkaya kar

Darya ko bhi thora pyasa rehne de

 

Apni dunya tu ne mukammal kar tou li

Mujhko mere saath adhoora rehne de

 

Sheeshe ka ghar pal mein toot bhi sakta hai

Jaane bhi de chhorr tamasha rehne de

 

Mehfil se ukta kar dunya lauti hai

Usko bhi kuch der ko tanha rehne de

 

Ho jismein har aks mera pehle jaisa

Haath mein mere wo aaina rehne de

Koi marham, koi talaafi kuch bhi nahi-n

Dil jaisa hai toota phoota rehne de

 

Toot na jaye sheesh mahal aawazo-n se

Khamoshi ka darya behta rehne de

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 583