donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Musarrat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Meri talaash mein wo tha, mujhe pata hi nahi-n *

Meri talaash mein wo tha, mujhe pata hi nahi-n

Ab uski samt chale hain tou raasta hi nahi-n

 

Ye zindgi hamei-n mauqa tou de rahi thi magar

Ye zid hamari thi dil ka kaha suna hi nahi-n

 

Na jaane kaise wohi lafz ban gaya sab kuch

Jo lafz hum ne likha hi nahin parha hi nahi-n

 

Likha hai maine mohabbat ko phir dobara se

Magar wo shaqs kisi samt dekhta hi nahi-n

 

Ganwa ke khud ko bohot pursukoon baithi hoo-n

Meri talaash mein ab koi qaafila hi nahi-n

 

Thi kis khayal mein gum zindgi, ke jeene ka

Hamare paas koi raasta bacha hi nahi-n

 

Ajab maqaam pe chhora hai humko qismat ne

Ye raasta bhi ajab hai ke raasta hi nahi-n

 

Ye khel usne bhi khela badi maharat se

Ke haarne ka koi dark hula rakha hi nahi-n

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 653