donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Musarrat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Rone ke baad dhoonde bahaane hansi ke wo *

Rone ke baad dhoonde bahaane hansi ke wo

Hai jaane kis maqaam pe deewangi ke wo

 

Bolo tou bandishei-n si lagaata hai aur kabhi

Matlab nikaalta hai meri khamushi ke wo

 

Jab zindgi khud apni sharayat pe jee liye

Kya pursukoon din they meri zindgi ke wo

 

Taarekiyo-n mein saath nibhayenge jo mera

Zinda hain kuch khayal abhi raushni ke wo

 

Raushan mujhe kiya hai magar aap  bujh gaye

They be misaal log meri zindgi ke wo

 

Maani na paa sake hain jo takhleeq mein meri

Khone lage hain lafz meri shayari ke wo

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 577