donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Musarrat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Phailti hi ja rahi hai gham ki soorat, kya kahoo-n *

Phailti hi ja rahi hai gham ki soorat, kya kahoo-n

Dil ke bahar saari khushiya-n, dil mein wehshat, kya kahoo-n

 

Hai mera kashkol khaali, aur dil gham se bhara

Usse maine kis qadar kit hi mohabbat, kya kahoo-n

 

Rayegaa-n hai saath apna, gar yaqee-n usko nahi-n

Kho chuki hai maainey saari haqeeqat kya kahoo-n

 

They meri aankh-n mein zinda khwab ke kitne nagar

Reh rahi hai saath mere aaj hasrat, kya kahoo-n

 

Tu mera sab kuch hai lekin, main teri kuch bhi nahi-n

Baat chhoti si hai, par dil ki shikayat kya kahoo-n

 

Chhor deti hoo-n kabhi manzil ko hi pane ke baad

Jaanta hai wo meri har ek aadat, kya kahoo-n

 

Apni gehri soch ke darya se tu bahar tou aa

Hai tujhe pane ki dil mein kitni shiddat, kya kahoo-n

 

Tha bohot dushwaar ANJUM usko pane ka safar

Kya uthayi hai mere dil ne azeeyat kya kahoo-n

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 560