donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Musarrat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Tere aani ki khushi kaise manayei-n kya karei-n *

Tere aani ki khushi kaise manayei-n kya karei-n

Kaunsi yaado-n ko kis jaanib sajayei-n kya karei-n

 

Zakhm se uthne lagi hain phir se teesei-n dard ki

Rakh ke phir kaanto-n pe marhum muskuraye-n kya karei-n

 

Zindgi mein khwahisho-n ki had muayyan hi nahi-n

Yaad rakhkheintujhko phir ki bhool jayei-n kya karei-n

 

Saath chalna jab nahi-n mumkin bata aey zindgi

Tujhse jayei-n door, apne paas aayei-n kya karei-n

 

Gham ke baadal chat chuke hain zindgi k idhoop se

Ab teri yaado-n ko hum orhein bichayein kya karei-n

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 680