donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mirza Ghalib
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Haa'n dil-e-dardmand zam-zama saz, *
Haa'n dil-e-dardmand zam-zama saz, 
kyu'n na khole dar-e-khazina-e-raz,

Khame ka safhe par rava'n hona, 
shakh-e-gul ka hai gul-fisha'n hona,

Mujh se kya puchhta hai kya likhiye, 
nuqta haye khirad fisha'n likhiye,

Barhe aamo'n ka kuchh baya'n ho jaye, 
khama nakhle rutba fisha'n ho jaye,

Aam ka kaun mard-e-maida'n hai, 
samar-o-shaakh guve-o-chaughan hai,

Tak ke ji me'n kyu'n rahe arma'n, 
aaye yeh guve aur ye maida'n!

Aam ke aage pesh jave khak, 
phorhta hai jale phaphole tak,

Na chala jab kisi tarah maqadur, 
bada-e-nab ban gaya angur.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 392