donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mirza Ghalib
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Us bazm mei’n mujhe nahee’n bantee haya kiye *
Us bazm mei’n mujhe nahee’n bantee haya kiye
baithaa raha agarche ishaare huwa kiye

Dil hee to hai, siyaasat-e-darbaan se dar gaya
main, aur jaaoo’n dar se tere bin sada kiye ?

Rakhta firoon hoon khirqa-o-sajjaada rahn mei’n
muddat huee hai daavat-e-aab-o-hawa kiye

Besarfa hee guzartee hai, ho garche umr-e-khijr
hazarat bhee kal kahenge ki ham kya kiya kiye 

Maqdoor ho to khaak se poochchoo’n, ke 'ei laeem
toone woh ganj haay giraanmaaya kya kiye 

Kis roz tohamatai’n na taraasha kiye 'adoo
kis din hamaare sar pe na aare chala kiye

Sohbat mei’n ghair kee na padee ho kaheen yeh khoo
dene laga hai bose baghair iltijaa kiye

Zid kee hai aur baat magar khoo buree nahee’n
bhoole se usne saikdo’n waade-wafa kiye

'Ghalib' tumhee’n kaho ki milega jawaab kya 
maana ki tum kaha kiye, aur woh suna kiye
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 381