donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mirza Ghalib
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Woh firaaq aur woh wisaal kahaa’n *
Woh firaaq aur woh wisaal kahaa’n 
woh shab-o-roz-o-maah-o-saal kahaa’n 

Fursat-e-kaarobaar-e-shauq kise 
zauq-e-nazzaraa-e-jamaal kahaa’n ?

Dil to dil wo dimaagh bhee na rahaa 
shor-e-sauda-e-khatt-o-khaal kahaa’n 

Thee woh ik shakhs ke tasavvur se
ab woh raanaai-e-khayaal kahaa’n 

'Eisa aasaan naheen lahoo rona
dil mein taaqat jigar mein haal kahaa’n 

Hamse choota qamaarkhaana-e-ishq
waa’n jo jawai’n, girah mei’n maal kahaa’n 

Fikr-e-duniyaan mein sar khapaata hoo’n
main kahaa’n aur ye wabaal kahaa’n 

Muzmahil ho gaye quwa'a 'ghalib'
wo anaasir mei’n 'eitdaal kahaa’n
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 397