donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mirza Ghalib
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Rone se aur ishq mei’n bebaak ho gaye *
Rone se aur ishq mei’n bebaak ho gaye
dhoye gaye ham 'eise ki bas paak ho gaye

Sarf-e-baha-e-mai hue aalaat-e-maikashee
the; ye hee do hisaab, so yon paak ho gaye

Ruswa-e-dahar go hue aawaargee se tum
baare tabeeyato’n ke to chaalaak ho gaye

Kehta hai kaun naala-e-bulbul ko beasar
parde mei’n gul ke laakh jigar chaak ho gaye

Pooche hai kya wujood-o-adam 'ehl-e-shauq ka
aap apnee aag se khas-o-khaashaak ho gaye

Karne gaye the; usse taghaaful ka ham gila
kee ek hee nigaah ki bas khaak ho gaye
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 373