donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mirza Ghalib
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Nuktaacheen hai gham-e-dil usko sunaaye na bane *
Nuktaacheen hai gham-e-dil usko sunaaye na bane
kya bane baat jahaan baat banaaye na bane

Mai’n bulaata to hoo’n usko magar 'ei jazba-e-dil
uspe ban jaaye kuchch 'eisee ki bin aaye na bane

Khel samjha hai kahee’n chod na de, bhool na jaay
kaash ! Yoon bhee ho ki bin mere sataaye na bane

Ghair firta hai liye yoo’n tere khat ko ki agar
koee pooche ki yeh kya hai ? To chipaaye na bane

Is nazaakat ka bura ho, woh bhale hai’n to kya
haanth aaye to unhai’n haanth lagaaye na bane

Keh sake kaun ki yeh jalwaagaree kiskee hai
parda choda hai woh usne ki uthaaye na bane

Maut kee raah na dekhoo’n ki bin aaye na rahe
tumko chaahoo’n ki na aao, to bulaaye na bane

Bojh woh sar pe gira hai ki uthaaye na uthe
kaam woh aan pada hai, ki banaaye na bane

Ishq par zor nahee’n, hai ye woh aatish 'ghalib'
ki lagaaye na lage aur bujhaaye na bane
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 355