|
* Na tha kuchch to khuda tha, kuchch na hota to khuda hota *
Na tha kuchch to khuda tha, kuchch na hota to khuda hota
duboya mujhko hone ne, na hota mai’n to kya hota
Huaa jab gham se yoo’n behis to gham kya sar ke katne ka
na hota gar juda tan se to zaanoo’n par dhara hota
Huee muddat ke 'ghalib' mar gaya par yaad aata hai
wo har ek baat pe kehana, ke yoo’n hota to kya hota
|
|