donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mirza Ghalib
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Laazim tha ki dekho mera rasta koee din aur *
Laazim tha ki dekho mera rasta koee din aur
tanha gaye kyo’n ab raho tanha koee din aur

mit jaayega sar, gar tera patthar na ghisega
hoo’n dar pe tere naasiyaafarsa koee din aur

aaye ho kal aur aaj hee kehte ho ki jaaoo’n
maana ki hamesha nahee’n, achchaa, koee din aur

jaate huve kahte ho, qayaamat ko milenge
kya khoob! Qayaamat ka hai goya koee din aur 

haa’n Ae falak-e-peer, javaa’n tha abhee 'Aarif'
kya tera bigadata jo na marta koee din aur ?

tum maah-e-shab-e-chardahum the; mere ghar ke
phir kyo’n na raha ghar ka woh naqsha koee din aur ?

tum kaun se 'eise the; khare daad-o-sitad ke ?
karta malakulmaut taqaaza koee din aur 

mujhse tumhain nafrat sahee, 'nayyar' se ladaayee
bachhon ka bhee dekha na tamaasha koee din aur 

guzree na baharhaal yah muddat khushee-naakhush
karna tha, javaanmarg ! Guzaara koee din aur

naadaan ho jo kehte ho ki kyo’n jeete ho 'ghalib'
qismat mei’n hai marne ki tamanna koee din aur
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 355