donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mirza Ghalib
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* us bazm me.n mujhe nahii.n banatii hayaa kiye *
us bazm me.n mujhe nahii.n banatii hayaa kiye 
baiThaa rahaa agarche ishaare huaa kiye 


dil hii to hai siyaasat-e-darbaa.N se Dar gayaa 
mai.n aur jaauu.N dar se tere bin sadaa kiye 


[siyaasat=politics, darbaa.N=doorkeeper/sentry, dar=door] 
[sadaa=sound, here it means conversation ] 


rakhataa phiruu.N huu.N Khiirqaa-o-sajjaadaa rahan-e-mai 
muddat huii hai daavat-e-aab-o-havaa kiye 


[Khiirqa=a patched garme.nt, sajjaada=a prayer carpet, rahn=mortgage, aab-o-hava=climate] 


be_sarfaa hii guzaratii hai, ho garche umr-e-Khizr 
hazarat bhii kal kahe.nge ki ham kyaa kiyaa kiye 


[be_sarfaa=simple life, umr-e-Khijz=everlasting life ] 


maqaduur ho to Khaak se puuchhuu.N ke ae laiim 
tuune vo ga.nj haaye giraa.N_maayaa kyaa kiye 


[maqaduur=capable, Khaak=dust/earth, laiim=miserly] 
[ga.nj=treasure/wealth, giraa.N_maayaa=valuble/precious ] 


kis roz tohamate.n na taraashaa kiye aduu 
kis din hamaare sar pe na aare chalaa kiye 


[tohamate.n=accusations, aduu=enemy ] 


sohabat me.n Gair kii na pa.Dii ho kahii.n ye Khuu 
dene lagaa hai bose baGair iltijaa kiye 


[sohabat=company, Khuu=habit, bose=kisses, iltijaa=request ] 


zid kii hai aur baat magar Khuu burii nahii.n 
bhuule se us ne saika.Do.n vaade-vafaa kiye 


[Khuu=habit ] 


'Ghalib' tumhii.n kaho ki milegaa javaab kyaa 
maanaa ki tum kahaa kiye aur vo sunaa kiye 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 376